qatra dariya hai agar shamil-e-dariya ho jae
qatrā dariyā hai agar shāmil-e-dariyā ho jaa.e
zarā is bhed ko pā jaa.e to sahrā ho jaa.e
barq ho sham.a ho sho.ala ho shafaq ho kuchh ho
ham jise jalva samajh leñ vahī jalva ho jaa.e
tujhe ye fikr ki sajdoñ se ḳhudā.ī bhar de
mujhe hasrat ki qubūl ek hī sajda ho jaa.e
dil nahīñ arsh magar rah-guzar-e-arsh to hai
dil pe rakhe nazar insāñ to farishta ho jaa.e
sū-e-zan hai mujhe 'sīmāb' shaguft-e-dil se
vo bhī gulshan koī gulshan hai jo sahrā ho jaa.e
qatra dariya hai agar shamil-e-dariya ho jae
zara is bhed ko pa jae to sahra ho jae
barq ho shama ho shoala ho shafaq ho kuchh ho
hum jise jalwa samajh len wahi jalwa ho jae
tujhe ye fikr ki sajdon se KHudai bhar de
mujhe hasrat ki qubul ek hi sajda ho jae
dil nahin arsh magar rah-guzar-e-arsh to hai
dil pe rakhe nazar insan to farishta ho jae
su-e-zan hai mujhe 'simab' shaguft-e-dil se
wo bhi gulshan koi gulshan hai jo sahra ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.