hai zabt-e-gham se josh-e-wafa mein KHushi mujhe
hai zabt-e-ġham se josh-e-vafā meñ ḳhushī mujhe
shāyad ma.āl-e-ġham se nahīñ āgahī mujhe
mahsūs infirādiyat apnī huī mujhe
dī kis ne be-ḳhudī meñ sslā-e-ḳhudī mujhe
ye zauq-e-intizār ye tanhā.ī-e-mazār
thā husn-e-ittifāq ki niiñd aa ga.ī mujhe
maiñ ham-vatan huuñ 'ġhālib'-o-'mīr'-o-'nazīr' kā
'sīmāb' raas aa.e na kyuuñ shā.erī mujhe
hai zabt-e-gham se josh-e-wafa mein KHushi mujhe
shayad maal-e-gham se nahin aagahi mujhe
mahsus infiradiyat apni hui mujhe
di kis ne be-KHudi mein ssla-e-KHudi mujhe
ye zauq-e-intizar ye tanhai-e-mazar
tha husn-e-ittifaq ki nind aa gai mujhe
main ham-watan hun 'ghaalib'-o-'mir'-o-'nazir' ka
'simab' ras aae na kyun shaeri mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.