na hogi razm agar to bazm wajh-e-barhami hogi
na hogī razm agar to bazm vaj.h-e-barhamī hogī
kisī sūrat se ho duniyā to ik din ḳhatm hī hogī
maran ho jā.egā jiinā agar sūrat yahī hogī
sunā hai zindagī hī phir ma.āl-e-zindagī hogī
mujhe duniyā-o-mā-fīhā se kyā dil-bastagī hogī
yuuñ hī sahvan kabhī us kī taraf aañkh uTh ga.ī hogī
ilāhī āsmāñ kab tak banegā marja'-e-hastī
yahāñ kab tak yuuñ hī tauhīn-e-ḳhāk-e-ādmī hogī
maiñ ai 'sīmāb' sūraj ban ke chamkā huuñ añdheroñ meñ
na hone se mere mahsūs duniyā meñ kamī hogī
na hogi razm agar to bazm wajh-e-barhami hogi
kisi surat se ho duniya to ek din KHatm hi hogi
maran ho jaega jina agar surat yahi hogi
suna hai zindagi hi phir maal-e-zindagi hogi
mujhe duniya-o-ma-fiha se kya dil-bastagi hogi
yun hi sahwan kabhi us ki taraf aankh uTh gai hogi
ilahi aasman kab tak banega marja'-e-hasti
yahan kab tak yun hi tauhin-e-KHak-e-admi hogi
main ai 'simab' suraj ban ke chamka hun andheron mein
na hone se mere mahsus duniya mein kami hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.