main tanha aab-o-rang bazm-e-imkan ho nahin sakta
main tanha aab-o-rang bazm-e-imkan ho nahin sakta
Seemab Akbarabadi
MORE BYSeemab Akbarabadi
maiñ tanhā āb-o-rañg bazm-e-imkāñ ho nahīñ saktā
ye dil vāpas agar tū is meñ mehmāñ ho nahīñ saktā
na ghabrā bhed agar is kā numāyāñ ho nahīñ saktā
are ye bhī to irfāñ hai ki irfāñ ho nahīñ saktā
mujhe hairāñ na kar haañ merī sūrat se ayaañ ho jā
maiñ ā.īna to ban saktā huuñ hairāñ ho nahīñ saktā
ulaT de dil ko bhī jab dil ke parde sab ulaT jaa.eñ
use bhī kar numāyāñ jo numāyāñ ho nahīñ saktā
sunā ai chupke chupke dil ke parde khīñchne vaale
tirī hadd-e-ḳhudī tak vo numāyāñ ho nahīñ saktā
du'ā jaa.ez ḳhudā bar-haq magar māñgūñ to kyā māñgūñ
samajhtā huuñ ki maiñ duniyā bad-amāñ ho nahīñ saktā
main tanha aab-o-rang bazm-e-imkan ho nahin sakta
ye dil wapas agar tu is mein mehman ho nahin sakta
na ghabra bhed agar is ka numayan ho nahin sakta
are ye bhi to irfan hai ki irfan ho nahin sakta
mujhe hairan na kar han meri surat se ayan ho ja
main aaina to ban sakta hun hairan ho nahin sakta
ulaT de dil ko bhi jab dil ke parde sab ulaT jaen
use bhi kar numayan jo numayan ho nahin sakta
suna ai chupke chupke dil ke parde khinchne wale
teri hadd-e-KHudi tak wo numayan ho nahin sakta
du'a jaez KHuda bar-haq magar mangun to kya mangun
samajhta hun ki main duniya bad-aman ho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.