tul-e-rah-e-hayat se ghabra raha hun main
tūl-e-rah-e-hayāt se ghabrā rahā huuñ maiñ
ghabrā rahā huuñ aur chalā jā rahā huuñ maiñ
chhūtī nahīñ hai mujhe par-e-jibrīl kī havā
ye kin bulandiyoñ pe uḌā jā rahā huuñ maiñ
phir de rahā huuñ fitrat-e-insāñ ko dars-e-nāz
sar-e-āstāñ husn se uThvā rahā huuñ maiñ
kyuuñ mere tark-e-bāda pe tujh ko yaqīñ nahīñ
saaqī tire laboñ kī qasam khā rahā huuñ maiñ
tahlīl ho rahā hai mirā nuur har nafas
ta.amīr-e-kā.enāt meñ kaam aa rahā huuñ maiñ
tul-e-rah-e-hayat se ghabra raha hun main
ghabra raha hun aur chala ja raha hun main
chhuti nahin hai mujhe par-e-jibril ki hawa
ye kin bulandiyon pe uDa ja raha hun main
phir de raha hun fitrat-e-insan ko dars-e-naz
sar-e-astan husn se uThwa raha hun main
kyun mere tark-e-baada pe tujh ko yaqin nahin
saqi tere labon ki qasam kha raha hun main
tahlil ho raha hai mera nur har nafas
tamir-e-kaenat mein kaam aa raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.