jalwa koi nigah mein baatil nahin raha
jalva koī nigāh meñ bātil nahīñ rahā
ab imtiyāz-e-laila-o-mahmil nahīñ rahā
ye ġham nahīñ ki shaad mirā dil nahīñ rahā
mātam ye hai ki maiñ tire qābil nahīñ rahā
bedār us kā husn rahā chashm-e-ḳhvāb meñ
mujh se to niiñd meñ bhī vo ġhāfil nahīñ rahā
vīrāñ hai dil ki tere tasavvur se bu'ad hai
ye ā.īna bhī dar-ḳhur-e-mahfil nahīñ rahā
ġham huuñ rah-e-talab meñ ba-qadr-e-kamāl-e-zauq
mujh ko dimāġh-e-sāhil-o-manzil nahīñ rahā
aa.e haiñ chāra-sāz bhī nashtar-farosh bhī
jab maiñ davā-o-dard ke qābil nahīñ rahā
tūfāñ ne zindagī se mujhe sair kar diyā
achchhā rahā ki tishna-e-sāhil nahīñ rahā
mamnūn huuñ tirī nigah-e-dil-navāz kā
ai dost shukriya magar ab dil nahīñ rahā
manzūr un ko pursish-e-'sīmāb' hai magar
'sīmāb' 'arz-e-hāl ke qābil nahīñ rahā
jalwa koi nigah mein baatil nahin raha
ab imtiyaz-e-laila-o-mahmil nahin raha
ye gham nahin ki shad mera dil nahin raha
matam ye hai ki main tere qabil nahin raha
bedar us ka husn raha chashm-e-KHwab mein
mujh se to nind mein bhi wo ghafil nahin raha
viran hai dil ki tere tasawwur se bu'ad hai
ye aaina bhi dar-KHur-e-mahfil nahin raha
gham hun rah-e-talab mein ba-qadr-e-kamal-e-zauq
mujh ko dimagh-e-sahil-o-manzil nahin raha
aae hain chaara-saz bhi nashtar-farosh bhi
jab main dawa-o-dard ke qabil nahin raha
tufan ne zindagi se mujhe sair kar diya
achchha raha ki tishna-e-sahil nahin raha
mamnun hun teri nigah-e-dil-nawaz ka
ai dost shukriya magar ab dil nahin raha
manzur un ko pursish-e-'simab' hai magar
'simab' 'arz-e-haal ke qabil nahin raha
- Book : Kaleem-e-Ajam (Pg. 178)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.