kahan jae nazar aur jae to jae kidhar ho kar
kahāñ jaa.e nazar aur jaa.e to jaa.e kidhar ho kar
vo ḳhud baiThe hue haiñ hā.il-e-hadd-e-nazar ho kar
hazāroñ soz-e-dar dil lauT aa.e tuur par ho kar
ye tum ne kyā lagā dī aag ik din jalva-gar ho kar
havādis ke bhañvar meñ baiTh jā sīna-sipar ho kar
yahī maujeñ kabhī sāhil baneñgī muḳhtasar ho kar
tamāshā.ī hai har zarre kā ḳhāk-e-rahguzar ho kar
ye terī past-bīnī is qadar bāliġh-nazar ho kar
hamesha mushkiloñ kī intihā hotī hai āsānī
shab-e-ġham sub.h ban jaatī hai bil-āḳhir basar ho kar
hañsī aatī hai mujh ko apne is saudā-e-nāqis par
ki tere dekhne kī aarzū hai ḳhud-nigar ho kar
vo āzādī se kar saktā nahīñ parvāz gulshan meñ
jo baiThā hai asīr-e-ehtiyāj-e-bāl-o-bar ho kar
ba-sad mushkil qarīb-e-āstān-e-dost pahuñchā huuñ
haram se duur ho kar but-kade se dūr-tar ho kar
tirā dil kyā ḳhudā.ī bhar ke dil ik roz dhaḌke.eñge
navā-e-’ishq gūñjegī navā-e-kārgar ho kar
na ho mahv-e-tamāshā ḳhalvat-e-mahdūd hastī meñ
guzar jā vus'at-e-kaunain kī had se nazar ho kar
isī par bul-havas ko zo'm hai tūfāñ uThāne kā
bahut royā to dāman rah gayā ashkoñ meñ tar ho kar
tasavvur kā ye adnā khel hai ai husn-e-āvāra
rahī barsoñ tirī tasvīr pāband-e-nazar ho kar
nazar ho chaar sau hairāñ ye tauhīn-e-tamāshā hai
maiñ ab kis kī taraf dekhūñ tarah jalva-nigar ho kar
ye hai turfa tasarruf be-qarār-e-dil ke mazāroñ kā
Thahar jaatā hai dam bhar jo nikaltā hai idhar ho kar
tumhīñ ko māñgtā huuñ tum se vo ziddī bhikārī huuñ
mire dast-e-du'ā meñ ḳhud hī aa jaao asar ho kar
jo dil TuuTe to har TukḌe se dil ke phir banā ik dil
hai kyuuñ rañj-e-shikast-e-ā.īna ā.īna-gar ho kar
koī tūfāñ nayā uThtā hai yā bijlī chamaktī hai
kisī din tuur par ham bhī dekheñ jalva-gar ho kar
nahīñ jis meñ tahammul mushkilāt-e-rāh-e-manzil kā
vo pachhtā.egā ai 'sīmāb' merā ham-safar ho kar
kahan jae nazar aur jae to jae kidhar ho kar
wo KHud baiThe hue hain hail-e-hadd-e-nazar ho kar
hazaron soz-e-dar dil lauT aae tur par ho kar
ye tum ne kya laga di aag ek din jalwa-gar ho kar
hawadis ke bhanwar mein baiTh ja sina-sipar ho kar
yahi maujen kabhi sahil banengi muKHtasar ho kar
tamashai hai har zarre ka KHak-e-rahguzar ho kar
ye teri past-bini is qadar baaligh-nazar ho kar
hamesha mushkilon ki intiha hoti hai aasani
shab-e-gham subh ban jati hai bil-aKHir basar ho kar
hansi aati hai mujh ko apne is sauda-e-naqis par
ki tere dekhne ki aarzu hai KHud-nigar ho kar
wo aazadi se kar sakta nahin parwaz gulshan mein
jo baiTha hai asir-e-ehtiyaj-e-baal-o-bar ho kar
ba-sad mushkil qarib-e-astan-e-dost pahuncha hun
haram se dur ho kar but-kade se dur-tar ho kar
tera dil kya KHudai bhar ke dil ek roz dhaDkeenge
nawa-e-’ishq gunjegi nawa-e-kargar ho kar
na ho mahw-e-tamasha KHalwat-e-mahdud hasti mein
guzar ja wus'at-e-kaunain ki had se nazar ho kar
isi par bul-hawas ko zo'm hai tufan uThane ka
bahut roya to daman rah gaya ashkon mein tar ho kar
tasawwur ka ye adna khel hai ai husn-e-awara
rahi barson teri taswir paband-e-nazar ho kar
nazar ho chaar sau hairan ye tauhin-e-tamasha hai
main ab kis ki taraf dekhun tarah jalwa-nigar ho kar
ye hai turfa tasarruf be-qarar-e-dil ke mazaron ka
Thahar jata hai dam bhar jo nikalta hai idhar ho kar
tumhin ko mangta hun tum se wo ziddi bhikari hun
mere dast-e-du'a mein KHud hi aa jao asar ho kar
jo dil TuTe to har TukDe se dil ke phir bana ek dil
hai kyun ranj-e-shikast-e-aina aaina-gar ho kar
koi tufan naya uThta hai ya bijli chamakti hai
kisi din tur par hum bhi dekhen jalwa-gar ho kar
nahin jis mein tahammul mushkilat-e-rah-e-manzil ka
wo pachhtaega ai 'simab' mera ham-safar ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.