main husn ki nazron se jab mahw-e-tamasha tha
maiñ husn kī nazroñ se jab mahv-e-tamāshā thā
ai be-kHudī-e-dil kyā tū ne mujhe dekhā thā
ye mere tasavvur meñ hairat-kada kis kā thā
ik a.alam-e-be-rañgī nazreñ thiiñ na jalva thā
tū vahm meñ parde ke mahrūm-e-tamāshā thā
parda jise samjhā thā ġhāfil vahī jalva thā
har haal mere dil kā ik hāl-e-musalsal hai
pahle bhī ġham-e-fardā merā ġham-e-fardā thā
bijlī kī tarah vo to lahrā ke hue pinhāñ
maiñ kis se kahūñ merā maqsūd-e-nazar kyā thā
'sīmāb' mohabbat ke ālām kā shikva kyā
insāñ pe mohabbat kā in.aam bhī kyā kyā thā
main husn ki nazron se jab mahw-e-tamasha tha
ai be-kHudi-e-dil kya tu ne mujhe dekha tha
ye mere tasawwur mein hairat-kada kis ka tha
ek aalam-e-be-rangi nazren thin na jalwa tha
tu wahm mein parde ke mahrum-e-tamasha tha
parda jise samjha tha ghafil wahi jalwa tha
har haal mere dil ka ek haal-e-musalsal hai
pahle bhi gham-e-farda mera gham-e-farda tha
bijli ki tarah wo to lahra ke hue pinhan
main kis se kahun mera maqsud-e-nazar kya tha
'simab' mohabbat ke aalam ka shikwa kya
insan pe mohabbat ka inam bhi kya kya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.