Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

tujhe is rang mein kya barq-e-tajalla dekhen

Seemab Akbarabadi

tujhe is rang mein kya barq-e-tajalla dekhen

Seemab Akbarabadi

MORE BYSeemab Akbarabadi

    tujhe is rañg meñ kyā barq-e-tajallā dekheñ

    tuur par aag lage log tamāsha dekheñ

    kis tarah ibrat-o-hairat tamāsha dekheñ

    jis taraf aap ne dekhā hai udhar kyā dekheñ

    DhūñDne vaale tirī diid se māyūs na hoñ

    shām-e-ka.aba na sahī sub.h-e-kalīsā dekheñ

    husn hai ālam-e-sad-rañg yahāñ sab kuchh hai

    jo tumhāre haiñ vo kyuuñ jānib-e-duniyā dekheñ

    ye havā.eñ ye ghaTā.eñ ye nahā.ī huī raat

    be-takalluf mirā barsāt manānā dekheñ

    karam-e-hazrat-e-zaidī ke nisār ai 'sīmāb'

    ek muddat se tamannā thī ki iiTā dekheñ

    tujhe is rang mein kya barq-e-tajalla dekhen

    tur par aag lage log tamasha dekhen

    kis tarah ibrat-o-hairat ka tamasha dekhen

    jis taraf aap ne dekha hai udhar kya dekhen

    DhunDne wale teri did se mayus na hon

    sham-e-kaba na sahi subh-e-kalisa dekhen

    husn hai aalam-e-sad-rang yahan sab kuchh hai

    jo tumhaare hain wo kyun jaanib-e-duniya dekhen

    ye hawaen ye ghaTaen ye nahai hui raat

    be-takalluf mera barsat manana dekhen

    karam-e-hazrat-e-zaidi ke nisar ai 'simab'

    ek muddat se tamanna thi ki iTa dekhen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now