suraten sust hain mani ki taraf jaane mein
sūrateñ sust haiñ ma.anī kī taraf jaane meñ
ab azaañ do ki ham aate haiñ sanam-ḳhāne meñ
shād-o-nā-shād guzārī usī ġham-ḳhāne meñ
koī to raaz thā mar mar ke jiye jaane meñ
ham-nashīñ kyā maiñ tujhe da'vat-e-mai-naushī duuñ
ashk hī ashk bhare haiñ mere paimāne meñ
manzil-e-ishq hai jāda-o-be-naqsh-e-qadam
ab na hushiyār meñ jur.at hai na dīvāne meñ
lagtī rahtī hai havā-e-nafs-e-garm se aag
hote rahte haiñ izāfe mere vīrāne meñ
qūvat-o-bul'ajbī zehn-e-parastish kī na pūchh
ya.anī ik but hai ḳhudā bhī mere but-ḳhāne meñ
jaag uThī kaifiyat-e-soz-e-mohabbat 'sīmāb'
sub.h se jaan paḌī shaam ke parvāne meñ
suraten sust hain mani ki taraf jaane mein
ab azan do ki hum aate hain sanam-KHane mein
shad-o-na-shad guzari usi gham-KHane mein
koi to raaz tha mar mar ke jiye jaane mein
ham-nashin kya main tujhe da'wat-e-mai-naushi dun
ashk hi ashk bhare hain mere paimane mein
manzil-e-ishq hai jada-o-be-naqsh-e-qadam
ab na hushiyar mein jurat hai na diwane mein
lagti rahti hai hawa-e-nafs-e-garm se aag
hote rahte hain izafe mere virane mein
quwat-o-bul'ajbi zehn-e-parastish ki na puchh
yani ek but hai KHuda bhi mere but-KHane mein
jag uThi kaifiyat-e-soz-e-mohabbat 'simab'
subh se jaan paDi sham ke parwane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.