rasa us anjuman mein bhi nazar malum hoti hai
rasā us anjuman meñ bhī nazar ma.alūm hotī hai
jahāñ mauj-e-havā be-bāl-o-par ma.alūm hotī hai
mizāj āgāh-fitrat chashm tar ma.alūm hotī hai
naved-e-ġham naved-e-muntazir ma.alūm hotī hai
pas-e-har rah-guzar ik rah-guzar ma.alūm hotī hai
ye duniyā tā-ba-duniyā-e-digar ma.alūm hotī hai
sadā-e-sāda bhī vahshat-asar ma.alūm hotī hai
havā-e-gul baḌī dīvāna-gar ma.alūm hotī hai
maqām ik intihā-e-ishq meñ aisā bhī aatā hai
zamāne kī nazar apnī nazar ma.alūm hotī hai
koī ulfat kā dīvāna koī matlab kā dīvāna
ye duniyā sirf dīvānoñ kā ghar ma.alūm hotī hai
sunā kar lantarānī chhup ga.ī 'sīmāb' jo bijlī
dil-e-shā.ir meñ ab tak naġhma-gar ma.alūm hotī hai
rasa us anjuman mein bhi nazar malum hoti hai
jahan mauj-e-hawa be-baal-o-par malum hoti hai
mizaj aagah-fitrat chashm tar malum hoti hai
nawed-e-gham nawed-e-muntazir malum hoti hai
pas-e-har rah-guzar ek rah-guzar malum hoti hai
ye duniya ta-ba-duniya-e-digar malum hoti hai
sada-e-sada bhi wahshat-asar malum hoti hai
hawa-e-gul baDi diwana-gar malum hoti hai
maqam ek intiha-e-ishq mein aisa bhi aata hai
zamane ki nazar apni nazar malum hoti hai
koi ulfat ka diwana koi matlab ka diwana
ye duniya sirf diwanon ka ghar malum hoti hai
suna kar lantarani chhup gai 'simab' jo bijli
dil-e-shair mein ab tak naghma-gar malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.