shan subhan hai insan bane baiThe hain
shaan sub.hān hai insān bane baiThe haiñ
daanā dānista haiñ nādān bane baiThe haiñ
arsh par naam ko ik shaan bane baiThe haiñ
farsh par kaam ko insān bane baiThe haiñ
kul tarīqat kī batāte haiñ tarīqe aur phir
kuchh nahii. jānte anjān bane baiThe haiñ
aap mahbūb bane aap bulāyā sar-e-arsh
apne ghar aap hī mehmān bane baiThe haiñ
aap hī bhej diyā pahle hidāyat ke liye
aap hī paḌhte haiñ qur.ān bane baiThe haiñ
kyuuñ na sau jaan se hoñ is nāz-o-adā ke sadqe
aaj to aap mirī jaan bane baiThe haiñ
kal to mandir meñ barahman ko diye the darshan
aaj masjid meñ musalmān bane baiThe haiñ
mil ga.e ḳhaak meñ ban ban ke hazāroñ putle
ḳhalq meñ saikḌoñ aivān bane baiThe haiñ
aap jo māñgte haiñ dil use kyuuñ kar de duuñ
aap usī dil meñ mirī jaan bane baiThe haiñ
'akbar' asrār-e-haqīqat se hai ājiz-e-idrāk
donoñ a.alam haiñ ki hairān bane baiThe haiñ
shan subhan hai insan bane baiThe hain
dana danista hain nadan bane baiThe hain
arsh par nam ko ek shan bane baiThe hain
farsh par kaam ko insan bane baiThe hain
kul tariqat ki batate hain tariqe aur phir
kuchh nahi jaante anjaan bane baiThe hain
aap mahbub bane aap bulaya sar-e-arsh
apne ghar aap hi mehman bane baiThe hain
aap hi bhej diya pahle hidayat ke liye
aap hi paDhte hain quran bane baiThe hain
kyun na sau jaan se hon is naz-o-ada ke sadqe
aaj to aap meri jaan bane baiThe hain
kal to mandir mein barahman ko diye the darshan
aaj masjid mein musalman bane baiThe hain
mil gae KHak mein ban ban ke hazaron putle
KHalq mein saikDon aiwan bane baiThe hain
aap jo mangte hain dil use kyun kar de dun
aap usi dil mein meri jaan bane baiThe hain
'akbar' asrar-e-haqiqat se hai aajiz-e-idrak
donon aalam hain ki hairan bane baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.