shab-e-ġham kī sahar nahīñ hotī
ho bhī to mere ghar nahīñ hotī
zindagī tū hī muḳhtasar ho jā
shab-e-ġham muḳhtasar nahīñ hotī
lazzat-e-intizār letā huuñ
yuuñ shab-e-ġham guzār letā huuñ
jab bhī Dastī hai mujh ko tanhā.ī
naam terā pukār letā huuñ
kyā merī baat kā yaqīn nahīñ
koī bhī aap se hasīn nahīñ
be-jhijak dil meñ tum chale aao
is makāñ meñ koī makīn nahīñ
aap aa.eñ ġharīb-ḳhāne meñ
sach to ye hai mujhe yaqīn nahīñ
aap ke rū-e-yāsmīñ kī qasam
chāñd bhī is qadar hasīn nahīñ
shab-e-gham ki sahar nahin hoti
ho bhi to mere ghar nahin hoti
zindagi tu hi muKHtasar ho ja
shab-e-gham muKHtasar nahin hoti
lazzat-e-intizar leta hun
yun shab-e-gham guzar leta hun
jab bhi Dasti hai mujh ko tanhai
nam tera pukar leta hun
kya meri baat ka yaqin nahin
koi bhi aap se hasin nahin
be-jhijak dil mein tum chale aao
is makan mein koi makin nahin
aap aaen gharib-KHane mein
sach to ye hai mujhe yaqin nahin
aap ke ru-e-yasmin ki qasam
chand bhi is qadar hasin nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.