dil ko nahin sukun meri jaan tere baghair
dil ko nahīñ sukūn mirī jaañ tire baġhair
aa jā ki zindagī hai pareshāñ tire baġhair
sāġhar ḳhāmosh jaam tahī mai-kada udaas
suunī paḌī hai mahfil-e-rindāñ tire baġhair
dil chaak siina chaak jigar chaak al-firāq
ham ho ga.e haiñ chāk-e-girebāñ tire baġhair
kis se kaheñ jo tū na sune dāstān-e-ġham
ham be-kasoñ kā kaun hai pursāñ tire baġhair
phir dil meñ jal sakī na koī sham’-e-ārzū
us ghar meñ ho sakā na charāġhāñ tire baġhair
jis samt dekhtā huuñ samāñ hai dhuāñ-dhuāñ
har manzar-e-hayāt hai vīrāñ tire baġhair
aa jā ki bujh chale haiñ tamannāoñ ke diye
siine meñ dafn ho ga.e armāñ tere baġhair
tum kyā ga.e ki luT gayā sāmān-e-zindagī
ham ho ga.e haiñ be-sar-o-sāmāñ tire baġhair
jaise firāqe-e-gul meñ ro.e koī 'andalīb
yuuñ 'sājid'-e-hazīñ hai ġhazal-ḳhvāñ tire baġhair
dil ko nahin sukun meri jaan tere baghair
aa ja ki zindagi hai pareshan tere baghair
saghar KHamosh jam tahi mai-kada udas
suni paDi hai mahfil-e-rindan tere baghair
dil chaak sina chaak jigar chaak al-firaq
hum ho gae hain chaak-e-gireban tere baghair
kis se kahen jo tu na sune dastan-e-gham
hum be-kason ka kaun hai pursan tere baghair
phir dil mein jal saki na koi sham’-e-arzu
us ghar mein ho saka na charaghan tere baghair
jis samt dekhta hun saman hai dhuan-dhuan
har manzar-e-hayat hai viran tere baghair
aa ja ki bujh chale hain tamannaon ke diye
sine mein dafn ho gae arman tere baghair
tum kya gae ki luT gaya saman-e-zindagi
hum ho gae hain be-sar-o-saman tere baghair
jaise firaqe-e-gul mein roe koi 'andalib
yun 'sajid'-e-hazin hai ghazal-KHwan tere baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.