manzil-e-’ishq mein jab rakha hai qadam har qadam ko baDhane ki koshish karo
manzil-e-’ishq mein jab rakha hai qadam har qadam ko baDhane ki koshish karo
Shafi Shaida
MORE BYShafi Shaida
Interesting Fact
آواز : سکندر شاد قوال
manzil-e-’ishq meñ jab rakhā hai qadam har qadam ko baḌhāne kī koshish karo
zindagī kā sahīh lutf aa jā.egā tum mire saath aane kī koshish karo
nit na.e moḌ par zindagī ke sanam saath dene kī khaa.ī thī tum ne qasam
biitā bachpan javāñ ho ga.e haiñ jo tum apnā va.ada nibhāne kī koshish karo
kaliyāñ chaTkīñ khule phuul gulshan hañse hūreñ sharmā.eñ aur har fazā jhuum uTThe
jān-e-man zindagī ke na.e moḌ par ik nayā gul khilāne kī koshish karo
rashk-e-gulshan hai jān-e-bahār-e-hazīñ banñe paa.e na naqsh-e-qadam par zamīñ
gulistāñ kī havā bhī na paa.e havā yuuñ dabe paañv aane kī koshish karo
shaidā pahle bhī thā shaidā huuñ aaj bhī jab sikandar thā maiñ aaj bhī huuñ vahī
tum ko shak ho agar mere jazbāt par phir mujhe āzmāne kī koshish karo
manzil-e-’ishq mein jab rakha hai qadam har qadam ko baDhane ki koshish karo
zindagi ka sahih lutf aa jaega tum mere sath aane ki koshish karo
nit nae moD par zindagi ke sanam sath dene ki khai thi tum ne qasam
bita bachpan jawan ho gae hain jo tum apna wada nibhane ki koshish karo
kaliyan chaTkin khule phul gulshan hanse huren sharmaen aur har faza jhum uTThe
jaan-e-man zindagi ke nae moD par ek naya gul khilane ki koshish karo
rashk-e-gulshan hai jaan-e-bahaar-e-hazin banne pae na naqsh-e-qadam par zamin
gulistan ki hawa bhi na pae hawa yun dabe panw aane ki koshish karo
shaida pahle bhi tha shaida hun aaj bhi jab sikandar tha main aaj bhi hun wahi
tum ko shak ho agar mere jazbaat par phir mujhe aazmane ki koshish karo
- Book : Sikandar Shad Qawwal, Part 1 (Pg. 14)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.