kaho bulbul se le jawe chaman se aashiyan apna
Interesting Fact
گلدستۂ قوالی میں یہ غزل علی گوہر سے چند متفرق لفظ و بدل کے ساتھ منسوب ہے۔
kaho bulbul se le jaave chaman se āshiyāñ apnā
paḌhe gar sad hazār afsūñ na hogā bāġhbāñ apnā
huī jab baaġh se ruḳhsat kahā ro-ro ke yā qismat
likhā thā yuuñ ki fasl-e-gul meñ chhoTe āshiyāñ apnā
alam kar is tarh ruuvī ki rusvā ho ga.ī bulbul
Dubāyā haaye āñkhoñ ne tamāmī ḳhānumāñ apnā
uThā kar le chalī bulbul chaman se āshiyāñ apnā
kahā gul se ki le ye be-vafā ham se makāñ apnā
ye hasrat rah ga.ī kis kis maze se zindagī karte
agar hotā chaman apnā gul apnā bāġhbāñ apnā
mirā jaltā hai jī us bulbul-e-be-kas kī ġhurbat par
ki gul ke āsare par yuuñ luTāyā ḳhānumāñ apnā
magar dil se niba rakhnā 'alī gauhar se pyāre ko
vo shāhī go ki rakhtā hai vale hai mehrbāñ apnā
kaho bulbul se le jawe chaman se aashiyan apna
paDhe gar sad hazar afsun na hoga baghban apna
hui jab bagh se ruKHsat kaha ro-ro ke ya qismat
likha tha yun ki fasl-e-gul mein chhoTe aashiyan apna
alam kar is tarh ruwi ki ruswa ho gai bulbul
Dubaya haye aankhon ne tamami KHanuman apna
uTha kar le chali bulbul chaman se aashiyan apna
kaha gul se ki le ye be-wafa hum se makan apna
ye hasrat rah gai kis kis maze se zindagi karte
agar hota chaman apna gul apna baghban apna
mera jalta hai ji us bulbul-e-be-kas ki ghurbat par
ki gul ke aasare par yun luTaya KHanuman apna
magar dil se niba rakhna 'ali gauhar se pyare ko
wo shahi go ki rakhta hai wale hai mehrban apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.