Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ai sanam mujhko kisi se bhi sarokar nahin ba-KHuda tere siwa

Shah Akbar Danapuri

ai sanam mujhko kisi se bhi sarokar nahin ba-KHuda tere siwa

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    ai sanam mujh ko kisī se bhī sarokār nahīñ ba-ḳhudā tere sivā

    dīn-o-īmān se bhī matlab mujhe zinhār nahīñ maiñ to banda huuñ tirā

    raas aa.ī na use baaġh bhī āb-o-havā ā’riza kuchh na ghaTā

    achchhī hone bas ab nargis-e-bīmār nahīñ us hāfiz hai ḳhudā

    ye vahī dil hai ki mā’shūqoñ thā madd-e-nazar thā hujūm aaTh pahar

    ab vahī dil hai ke koī bhī ḳharīdār nahīñ aisā bāzār girā

    nabz sāqit huī āñkheñ bhī haiñ chhat se lagīñ hai dam-e-bāz-pasīñ

    zindagī ke mare ab koī bhī āsār nahīñ yuuñ to qādir hai ḳhudā

    kaisā-kaisā tirī furqat meñ huā haal mirā tuune pūchhā na zarā

    tujh be-rahm koī ai but-e-ayyār nahīñ aur agar hai to batā

    apne begāne hue dost bane dushman-e-jāñ ḳhuun pyāsā hai jahāñ

    ai sanam mirī shakl se bezār nahīñ ek a.alam hai ḳhafā

    ‘akbar’-e-ḳhasta se kah do ke vo tayyār rahe ham kamar bāñdh chuke

    ab yahāñ rahne mauqa.a koī zinhār nahii. qāfila aage baḌhā

    ai sanam mujh ko kisi se bhi sarokar nahin ba-KHuda tere siwa

    din-o-iman se bhi matlab mujhe zinhaar nahin main to banda hun tera

    ras aai na use bagh ki bhi aab-o-hawa aa’riza kuchh na ghaTa

    achchhi hone ki bas ab nargis-e-bimar nahin us ka hafiz hai KHuda

    ye wahi dil hai ki ma’shuqon ka tha madd-e-nazar tha hujum aaTh pahar

    ab wahi dil hai ke koi bhi KHaridar nahin aisa bazar gira

    nabz saqit hi hui aankhen bhi hain chhat se lagin hai dam-e-baz-pasin

    zindagi ke mare ab koi bhi aasar nahin yun to qadir hai KHuda

    kaisa-kaisa teri furqat mein hua haal mera tune puchha na zara

    tujh sa be-rahm koi ai but-e-ayyar nahin aur agar hai to bata

    apne begane hue dost bane dushman-e-jaan KHun ka pyasa hai jahan

    ai sanam tu hi meri shakl se bezar nahin ek aalam hai KHafa

    ‘akbar’-e-KHasta se kah do ke wo tayyar rahe hum kamar bandh chuke

    ab yahan rahne ka mauqa koi zinhaar nahi qafila aage baDha

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Parwez Alam

    Parwez Alam

    Source :
    • Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 80)
    • Author :Shah Akbar Danapuri
    • Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now