Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

base hain itr-e-suhag mein hum gale se kis ko laga liya hai

Shah Akbar Danapuri

base hain itr-e-suhag mein hum gale se kis ko laga liya hai

Shah Akbar Danapuri

base haiñ itr-e-suhāg meñ ham gale se kis ko lagā liyā hai

hamārā pairāhan-e-mohabbat kisī utrī huī qabā hai

sharāb-ḳhāne meñ aayā zāhid utar gayā jubba-e-riyā.ī

sadā-e-qāqul ye kah rahī hai bigaḌ ke ye aadmī banā hai

ajiib san.at hai ye putlā uThā duuñ parda dikhā duuñ jalva

adab ijāzat agar mujhe de to kah duuñ kaun aadmī banā hai

milegā ye ḳhaak meñ yahīñ par na hogā kūcha se tere bāhar

lagā diyā ab to ham ne bistar ye dil tujhī par miTā huā hai

hai zindagī be-sabāt aisī habāb ho numūd jaisī

bas aise jiine aisī taisī idhar to ubhrā udhar fanā hai

adam manzil se Dar na 'akbar' na chor us meñ na us meñ rahzan

hazāroñ lākhoñ haiñ aate jaate ye rāsta ḳhuub chal rahā hai

base hain itr-e-suhag mein hum gale se kis ko laga liya hai

hamara pairahan-e-mohabbat kisi ki utri hui qaba hai

sharab-KHane mein aaya zahid utar gaya jubba-e-riyai

sada-e-qaqul ye kah rahi hai bigaD ke ye aadmi bana hai

ajib sanat ka hai ye putla uTha dun parda dikha dun jalwa

adab ijazat agar mujhe de to kah dun kaun aadmi bana hai

milega ye KHak mein yahin par na hoga kucha se tere bahar

laga diya ab to hum ne bistar ye dil tujhi par miTa hua hai

hai zindagi be-sabaat aisi habab ki ho numud jaisi

bas aise jine ki aisi taisi idhar to ubhra udhar fana hai

adam ki manzil se Dar na 'akbar' na chor us mein na us mein rahzan

hazaron lakhon hain aate jate ye rasta KHub chal raha hai

Source :
  • Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 143)
  • Author : Sha Akbar Danapuri
  • Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1896)
  • Edition : First

This content features in following collection(s)

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now