meri aankhon mein aa gaya koi
merī āñkhoñ meñ aa gayā koī
apnā jalva dikhā gayā koī
mujh ko hairāñ banā gayā koī
mere dil meñ samā gayā koī
maiñ kahāñ huuñ usī ke jalve haiñ
merī hastī pe chhā gayā koī
mujh ko maiñ bhī nazar nahīñ aatā
mai-e-'irfāñ pilā gayā koī
ab zarūrat nahīñ hai rahbar kī
rāsta kyā dikhā gayā koī
ye 'gilīmī' hai āstāna hai
mujh ko apnā banā gayā koī
meri aankhon mein aa gaya koi
apna jalwa dikha gaya koi
mujh ko hairan bana gaya koi
mere dil mein sama gaya koi
main kahan hun usi ke jalwe hain
meri hasti pe chha gaya koi
mujh ko main bhi nazar nahin aata
mai-e-'irfan pila gaya koi
ab zarurat nahin hai rahbar ki
rasta kya dikha gaya koi
ye 'gilimi' hai aastana hai
mujh ko apna bana gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.