faiz-baKHshi ki hai kya shan tere kucha mein
faiz-baḳhshī kī hai kyā shaan tire kūcha meñ
mor ban jaa.e sulaimān tire kūcha meñ
ruuh to rahtī hai har aan tire kūcha meñ
aa.e kyuuñ kar tan-e-be-jān tire kūcha meñ
aa nahīñ saktā vahāñ aur na bulā saktā huuñ
rāt-din rahtā hai bas dhyān tire kūcha meñ
kyā 'ajab hai ki bane sūrat-e-majnūñ lailā
chiir kar apnā garebān tire kūcha meñ
maskan-e-rūh mirā ba.ad-e-fanā hogā vahīñ
dafn ho yā na ho ai jaan tire kūcha meñ
ḳhaak par naqsh kaf-e-pā tire hove kyuuñ kar
farsh hai dīda-e-hairān tire kūcha meñ
chhoḌ darvāza tirā jaa.eñ kahāñ ham 'kHāmosh'
jaan to kar diye qurbān tire kūcha meñ
faiz-baKHshi ki hai kya shan tere kucha mein
mor ban jae sulaiman tere kucha mein
ruh to rahti hai har aan tere kucha mein
aae kyun kar tan-e-be-jaan tere kucha mein
aa nahin sakta wahan aur na bula sakta hun
raat-din rahta hai bas dhyan tere kucha mein
kya 'ajab hai ki bane surat-e-majnun laila
chir kar apna gareban tere kucha mein
maskan-e-ruh mera baad-e-fana hoga wahin
dafn ho ya na ho ai jaan tere kucha mein
KHak par naqsh kaf-e-pa tere howe kyun kar
farsh hai dida-e-hairan tere kucha mein
chhoD darwaza tera jaen kahan hum 'kHamosh'
jaan to kar diye qurban tere kucha mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.