mujhe mushkil hai tujhe pas bulana jaana
mujhe mushkil hai tujhe paas bulānā jaanā
tū agar chāhe to āsān hai aanā jaanā
vo to be-dil hai jise apnā meñ jānāñ jaanā
huā begāna jise ham ne yagāna jaanā
mil na mil mujh se magar tā-ba-mulāqāt kabhī
dil se is banda ko hargiz na bhulānā jaanā
phirā bhuterā bhaTaktā huā bas ākHir kaar
tire kūcha ke ta.iiñ apnā Thikāna jaanā
jo phirā tujh se to be-shub.h ḳhudā se maiñ phirā
tire bā'is hai mujhe saarā zamāna jaanā
ik mulāqāt hai rūhānī-o-gar jismānī
kisī sūrat se vo sūrat ko dikhānā jaanā
mahfil yaar meñ 'kHāmosh' hai lāzim tujh ko
misl-e-parvāna par-o-bāl jalānā jaanā
mujhe mushkil hai tujhe pas bulana jaana
tu agar chahe to aasan hai aana jaana
wo to be-dil hai jise apna mein jaanan jaana
hua begana jise hum ne yagana jaana
mil na mil mujh se magar ta-ba-mulaqat kabhi
dil se is banda ko hargiz na bhulana jaana
phira bhutera bhaTakta hua bas aakHir kar
tere kucha ke tain apna Thikana jaana
jo phira tujh se to be-shubh KHuda se main phira
tere ba'is hai mujhe sara zamana jaana
ek mulaqat hai ruhani-o-gar jismani
kisi surat se wo surat ko dikhana jaana
mahfil yar mein 'kHamosh' hai lazim tujh ko
misl-e-parwana par-o-baal jalana jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.