duniya mein kuchh nahin hai kaha man jaiye
duniyā meñ kuchh nahīñ hai kahā maan jā.iye
parde paḌe hue haiñ ḳhudā tak uThā.iye
dil ke nagar meñ husn jahāñ-soz kī hai dhuum
bāzār sā lagā hai ḳharīdār chāhiye
apnā 'adam vujūd kahāñ un ke sāmne
un ke sivā.e kuchh nahīñ sab bhuul jā.iye
ham to isī savāl meñ gum ho ke rah ga.e
pūchhā thā us ne merā Thikāna batā.iye
de kar kabhī kahā nahīñ ki ham ne kyā diyā
aise gadā-navāz ke qurbān jā.iye
duniya mein kuchh nahin hai kaha man jaiye
parde paDe hue hain KHuda tak uThaiye
dil ke nagar mein husn jahan-soz ki hai dhum
bazar sa laga hai KHaridar chahiye
apna 'adam wujud kahan un ke samne
un ke siwae kuchh nahin sab bhul jaiye
hum to isi sawal mein gum ho ke rah gae
puchha tha us ne mera Thikana bataiye
de kar kabhi kaha nahin ki hum ne kya diya
aise gada-nawaz ke qurban jaiye
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 299)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.