Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

rang de ai mere maula rang de

Shah Waliur Rahman Jamali

rang de ai mere maula rang de

Shah Waliur Rahman Jamali

MORE BYShah Waliur Rahman Jamali

    rañg de ai mere maulā rañg de

    rañg de ai mere aaqā rañg de

    ye libās-e-zīst aisā rañg de

    tā-qiyāmat ho na mailā rañg de

    rañg de aur is balā rañg de

    jo fanā meñ bhī baqā rañg de

    chain mere dil ko us vaqt aa.egā

    jaisā hai mujh ko vaisā rañg de

    bas mujhe to ab yahī manzūr hai

    sab ko rañg duuñ mujh ko aisā rañg de

    apne rañg-e-ārzū meñ jān-e-man

    merā dāmān-e-tamannā rañg de

    merī ḳhvāhish go tujhe ma.alūm hai

    mujh ko us se bhī ziyāda rañg de

    sadqa-e-me'rāj-e-pāk-e-mustafā

    rañg de merā sarāpā rañg de

    rañg vo de jo ki har ik rañg meñ

    apnī rañgat nirālā rañg de

    us 'valī' ko ai ḳhudā-e-zul-jalāl

    vahdat-o-kasrat do-gunā rañg de

    rang de ai mere maula rang de

    rang de ai mere aaqa rang de

    ye libas-e-zist aisa rang de

    ta-qiyamat ho na maila rang de

    rang de aur is bala ka rang de

    jo fana mein bhi baqa ka rang de

    chain mere dil ko us waqt aaega

    jaisa tu hai mujh ko waisa rang de

    bas mujhe to ab yahi manzur hai

    sab ko rang dun mujh ko aisa rang de

    apne rang-e-arzu mein jaan-e-man

    mera daman-e-tamanna rang de

    meri KHwahish go tujhe malum hai

    mujh ko us se bhi ziyaada rang de

    sadqa-e-me'raj-e-pak-e-mustafa

    rang de mera sarapa rang de

    rang wo de jo ki har ek rang mein

    apni rangat ka nirala rang de

    us 'wali' ko ai KHuda-e-zul-jalal

    wahdat-o-kasrat ka do-guna rang de

    Source :
    • Book : Kalaam-e-wali wali-ul-kalam (Pg. 87)
    • Author : Shah Muhammad Wali-ur-rahman
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now