tumhaar ishq mein gar jaan ke dene se main aDta
tumhaar ishq mein gar jaan ke dene se main aDta
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
tumhār 'ishq meñ gar jaan ke dene se maiñ aḌtā
koī din jī ke āḳhir maut se marnā hī phir paḌtā
kahāñ ye 'ishq kā marnā kahāñ vo maut sar paḌnā
yahāñ ab rūh-e-qudsī hoñ vahāñ zer-e-zamīñ saḌnā
ziyārat-gāh-e-'ālam aaj hai yaaro mazār apnā
kaho hāsid ko tū bhī saath mere aa yahāñ gaḌnā
agar parvāna bulbul kī tarah marne se tham rahtā
ye ronā sham.a ko us ke liye tā-sub.h kyuuñ paḌtā
ye sañgīnī-o-subkī terī vā'iz sab pe khul jaatī
tarāzū-e-mohabbat meñ agar ā-kar ke tū tuḌtā
'niyāz' āḳhir tirā dil taḳht-e-rabbul-'ālamīñ hotā
ḳhas-o-ḳhāshāk ġhaflat se agar ye ḳhuub sā jhaḌtā
tumhaar 'ishq mein gar jaan ke dene se main aDta
koi din ji ke aaKHir maut se marna hi phir paDta
kahan ye 'ishq ka marna kahan wo maut sar paDna
yahan ab ruh-e-qudsi hon wahan zer-e-zamin saDna
ziyarat-gah-e-'alam aaj hai yaro mazar apna
kaho hasid ko tu bhi sath mere aa yahan gaDna
agar parwana bulbul ki tarah marne se tham rahta
ye rona shama ko us ke liye ta-subh kyun paDta
ye sangini-o-subki teri wa'iz sab pe khul jati
taraazu-e-mohabbat mein agar aa-kar ke tu tuDta
'niyaz' aaKHir tera dil taKHt-e-rabbul-'alamin hota
KHas-o-KHashak ghaflat se agar ye KHub sa jhaDta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.