Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

chhoDo mujhe be-KHud mera aaram yahi hai

Shah Niyaz Ahmad Barelvi

chhoDo mujhe be-KHud mera aaram yahi hai

Shah Niyaz Ahmad Barelvi

MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi

    chhoḌo mujhe be-ḳhud merā ārām yahi hai

    benām-o-nishāñ rahne do bas naam yahī hai

    le sar se qadam tak huuñ jalā sham.a mānind

    shāyad ke miyāñ ishq anjām yahī hai

    kāfir huuñ jo maiñ apne ta.iiñ jānūñ ke maiñ huuñ

    jo kuchh hai so hai mirā islām yahī hai

    sūjhe nahīñ din-rāt tire dhyān meñ pyāre

    apnī to sahar hai yahī aur shaam yahī hai

    kahte haiñ 'niyāz' aap ko is shakl mirī meñ

    ye sach hai ke paak pe yaañ naam yahī hai

    chhoDo mujhe be-KHud mera aaram yahi hai

    benam-o-nishan rahne do bas nam yahi hai

    le sar se qadam tak hun jala shama ki manind

    shayad ke miyan ishq ka anjam yahi hai

    kafir hun jo main apne tain jaanun ke main hun

    jo kuchh hai so tu hai mera islam yahi hai

    sujhe nahin din-raat tere dhyan mein pyare

    apni to sahar hai yahi aur sham yahi hai

    kahte hain 'niyaz' aap ko is shakl meri mein

    ye sach hai ke tu pak pe yan nam yahi hai

    Source :
    • Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 153)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now