jab tak ki tera qalb musaffa nahin hota
jab tak ki tera qalb musaffa nahin hota
Shah Siddique Saudagar
MORE BYShah Siddique Saudagar
jab tak ki tirā qalb musaffā nahīñ hotā
jalva ruḳh-e-dil-dār kā puurā nahīñ hotā
us jā huuñ jahāñ nuqta-e-bā tā nahīñ hotā
asmā to kujā balki musammā nahīñ hotā
har dam meñ jalātā huuñ nayā ek maiñ a.alam
ab mujh se koī baḌh ke masīhā nahīñ hotā
idrāk bhī khātā hai vahāñ par ka.ī ġhote
aisā koī tūfān kā dariyā nahīñ hotā
ḳhud aake tanazzul meñ kamāl aap kā paayā
gar aap se meñ aap ye shaidā nahīñ hotā
ḳhud pūjtā hai mujh ko to ab vo but-e-be-dīñ
is kufr kā kāfir koī aisā nahīñ hotā
allāh nafī hote hī banda huā isbāt
isbāt se allāh kī banda nahīñ hotā
'saudā-gar'-e-ahqar hai ġhulām-e-shah-e-mirzā
aisā koī dārain meñ maulā nahīñ hotā
jab tak ki tera qalb musaffa nahin hota
jalwa ruKH-e-dil-dar ka pura nahin hota
us ja hun jahan nuqta-e-ba ta nahin hota
asma to kuja balki musamma nahin hota
har dam mein jalata hun naya ek main aalam
ab mujh se koi baDh ke masiha nahin hota
idrak bhi khata hai wahan par kai ghote
aisa koi tufan ka dariya nahin hota
KHud aake tanazzul mein kamal aap ka paya
gar aap se mein aap ye shaida nahin hota
KHud pujta hai mujh ko to ab wo but-e-be-din
is kufr ka kafir koi aisa nahin hota
allah nafi hote hi banda hua isbaat
isbaat se allah ki banda nahin hota
'sauda-gar'-e-ahqar hai ghulam-e-shah-e-mirza
aisa koi darain mein maula nahin hota
- Book : Deewan-e-Saudagar (Pg. 60)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.