Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

yar ka milna bahut mushkil bhi hai aasan bhi hai

Shah Siddique Saudagar

yar ka milna bahut mushkil bhi hai aasan bhi hai

Shah Siddique Saudagar

MORE BYShah Siddique Saudagar

    yaar milnā bahut mushkil bhī hai āsān bhī hai

    'āshiqī nibhnā bahut mushkil bhī hai āsān bhī hai

    us kun fakāñ ke raaz ko us be-zabāñ āvāz ko

    be-gosh ke sunñā bahut mushkil bhī hai āsān bhī hai

    vo 'ain us jab se hai ye ġhair us kātib se hai

    un duī miTnā bahut mushkil bhī hai āsān bhī hai

    tanzīh misl-e-bahar hai tashbīh us lahr hai

    donoñ ek dikhnā bahut mushkil bhī hai āsān bhī hai

    vahdat meñ kasrat shaan hai kasrat meñ vahdat aan hai

    har ik baham milnā bahut mushkil bhī hai āsān bhī hai

    itlāq bhī ik qaid hai har qaid meñ ik said hai

    us said uḌnā bahut mushkil bhī hai āsān bhī hai

    'saudā-gar' ab phirtā jidhar aatā nazar mirzā udhar

    aisī nazar banñā bahut mushkil bhī hai āsān bhī hai

    yar ka milna bahut mushkil bhi hai aasan bhi hai

    'ashiqi nibhna bahut mushkil bhi hai aasan bhi hai

    us kun fakan ke raaz ko us be-zaban aawaz ko

    be-gosh ke sunna bahut mushkil bhi hai aasan bhi hai

    wo 'ain us ka jab se hai ye ghair us katib se hai

    un ki dui miTna bahut mushkil bhi hai aasan bhi hai

    tanzih misl-e-bahar hai tashbih us ki lahr hai

    donon ka ek dikhna bahut mushkil bhi hai aasan bhi hai

    wahdat mein kasrat shan hai kasrat mein wahdat aan hai

    har ek baham milna bahut mushkil bhi hai aasan bhi hai

    itlaq bhi ek qaid hai har qaid mein ek said hai

    us said ka uDna bahut mushkil bhi hai aasan bhi hai

    'sauda-gar' ab phirta jidhar aata nazar mirza udhar

    aisi nazar banna bahut mushkil bhi hai aasan bhi hai

    Source :
    • Book : Diwan-e-Saudagar (Pg. 111)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now