ram jab wo but tera ho jaega
raam jab vo but tirā ho jā.egā
ik jahāñ kā tū ḳhudā ho jā.egā
ālam-e-bālā se baalā jaake dekh
hosh vaañ terā ḳhatā ho jā.egā
gar ho tū mausūf-e-bā-vasf-e-kHudā
kal pe bas qabza terā ho jā.egā
tujh meñ vo baaqī ho tū us meñ fanā
jab hī tū allah-numā ho jā.egā
pā gayā idrāk jo zulmāt kā
nuur us kā zer-e-pā ho jā.egā
'ishq'-e-mirzā meñ ye ‘saudā-gar’ ḳhud hī
rafta rafta mīrzā ho jā.egā
ram jab wo but tera ho jaega
ek jahan ka tu KHuda ho jaega
aalam-e-baala se baala jake dekh
hosh wan tera KHata ho jaega
gar ho tu mausuf-e-ba-wasf-e-kHuda
kal pe bas qabza tera ho jaega
tujh mein wo baqi ho tu us mein fana
jab hi tu allah-numa ho jaega
pa gaya idrak jo zulmat ka
nur us ka zer-e-pa ho jaega
'ishq'-e-mirza mein ye ‘sauda-gar’ KHud hi
rafta rafta mirza ho jaega
- Book : Deewan-e-Saudagar (Pg. 60)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.