mai-e-irfan zuhur hai mera
mai-e-irfāñ zuhūr hai merā
be-ḳhudī ik shu.ūr hai merā
lā-makāñ ke pare nikal jaanā
ye hī har dam ubuur hai merā
rabbī-arenī kī kyā zarūrat hai
dil par nūr-e-tūr hai merā
anā ḳhairun hai da.ava-e-iblīs
ḳhāksārī ġhurūr hai merā
ek hī sū pe kuchh nahīñ mauqūf
shash jihat meñ huzūr hai merā
ġhair kā hai vajūd ġhair zarūr
ek honā zarūr hai merā
lafz-e-kun se huā huuñ maiñ zāhir
aur 'ālam-e-zuhūr se merā
shaah mirzā hai piir 'saudā-gar'
yahī sadr-e-sudūr hai merā
mai-e-irfan zuhur hai mera
be-KHudi ek shuur hai mera
la-makan ke pare nikal jaana
ye hi har dam ubur hai mera
rabbi-areni ki kya zarurat hai
dil par nur-e-tur hai mera
ana KHairun hai dawa-e-iblis
KHaksari ghurur hai mera
ek hi su pe kuchh nahin mauquf
shash jihat mein huzur hai mera
ghair ka hai wajud ghair zarur
ek hona zarur hai mera
lafz-e-kun se hua hun main zahir
aur 'alam-e-zuhur se mera
shah mirza hai pir 'sauda-gar'
yahi sadr-e-sudur hai mera
- Book : Deewan-e-Saudagar (Pg. 63)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.