har-dam tilawat-e-rukH-e-jaanan hai aaj-kal
har-dam tilawat-e-rukH-e-jaanan hai aaj-kal
Shah Siddique Saudagar
MORE BYShah Siddique Saudagar
har-dam tilāvat-e-rukH-e-jānāñ hai āj-kal
apnā to diin hai yahī īmāñ hai āj-kal
kyā sar hai us meñ jis kā ḳhudā hī aliim hai
marġhūb dil jo sūrat-e-insān hai āj-kal
huuñ soḳhta tajallī-e-tābāñ kī taab se
tābāñ nazar meñ jo mah-e-tābāñ hai āj-kal
mumkin nahīñ barāt ki ġhalba se ishq ke
chaah meñ paḌā jo yūsuf-e-kan.āñ hai āj-kal
aisā hai vo jamīl ki jis ke jamāl se
hairat nasīb dīda-e-hairāñ hai āj-kal
hai be-navā ġharīb ye 'saudā-gar' ai buto
us ko to sirf himmat-e-jānāñ hai āj-kal
har-dam tilawat-e-rukH-e-jaanan hai aaj-kal
apna to din hai yahi iman hai aaj-kal
kya sar hai us mein jis ka KHuda hi alim hai
marghub dil jo surat-e-insan hai aaj-kal
hun soKHta tajalli-e-taban ki tab se
taban nazar mein jo mah-e-taban hai aaj-kal
mumkin nahin baraat ki ghalba se ishq ke
chah mein paDa jo yusuf-e-kanan hai aaj-kal
aisa hai wo jamil ki jis ke jamal se
hairat nasib dida-e-hairan hai aaj-kal
hai be-nawa gharib ye 'sauda-gar' ai buto
us ko to sirf himmat-e-jaanan hai aaj-kal
- Book : Deewan-e-Saudagar (Pg. 78)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.