aata nazar hai jalwa-e-didar har taraf
aatā nazar hai jalva-e-dīdār har taraf
dīdār-e-ainamā ke haiñ anvār har taraf
tarz-e-kHirām-e-nāz se lākhoñ haiñ pā.emāl
us shoḳh fitna-gar kī hai raftār har taraf
itne pilā.e ham ko mai-e-be-ḳhudī ke jaam
msatānā-vār phirte haiñ mai-ḳhvār har taraf
lākhoñ shahīd hote haiñ bismil hazār-hā
abrū kī jab chamaktī hai talvār har taraf
chhā.ī ghaTā hai aur chamaktī haiñ bijliyāñ
bārān-e-nūr barse hai har baar har taraf
yūsuf kā sirf ek zuleḳhā ko 'ishq thā
us shoḳh ke yahāñ haiñ ḳharīdār har taraf
hajda hazār ḳhalq meñ aadam ḳhalīfa hai
tasḳhīr meñ hai us ke ye darbār har taraf
ḳhvāja pahāḌī chal ke mai-e-’ishqīya to pī
dekhegā chashm-e-mast se sarshār har taraf
dīdār-e-yār ho gayā 'saudā-gar' ab nasīb
aatī nazar hai sūrat-e-'saudā-gar’ har taraf
aata nazar hai jalwa-e-didar har taraf
didar-e-ainama ke hain anwar har taraf
tarz-e-kHiram-e-naz se lakhon hain paemal
us shoKH fitna-gar ki hai raftar har taraf
itne pilae hum ko mai-e-be-KHudi ke jam
msatana-war phirte hain mai-KHwar har taraf
lakhon shahid hote hain bismil hazar-ha
abru ki jab chamakti hai talwar har taraf
chhai ghaTa hai aur chamakti hain bijliyan
baran-e-nur barse hai har bar har taraf
yusuf ka sirf ek zuleKHa ko 'ishq tha
us shoKH ke yahan hain KHaridar har taraf
hajda hazar KHalq mein aadam KHalifa hai
tasKHir mein hai us ke ye darbar har taraf
KHwaja pahaDi chal ke mai-e-’ishqiya to pi
dekhega chashm-e-mast se sarshaar har taraf
didar-e-yar ho gaya 'sauda-gar' ab nasib
aati nazar hai surat-e-'sauda-gar’ har taraf
- Book : Diwan-e-Saudagar (Pg. 76)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.