KHuda ko yaad karata hun sanam ki aashnai mein
KHuda ko yaad karata hun sanam ki aashnai mein
Shah Siddique Saudagar
MORE BYShah Siddique Saudagar
ḳhudā ko yaad karatā huuñ sanam kī āshnā.ī meñ
sharāb-e-shauq piitā huuñ maiñ apnī pārsā.ī meñ
maiñ ḳhalvat hī meñ apnī mahviyat meñ aap rahtā thā
do-'ālam ho gayā zāhir mirī ik rū-numā.ī meñ
tirā hī vaj.h-e-mutlaq hai vujūhāt hai 'ālam
tū hī yaktā hai ai jān-e-jahāñ saarī ḳhudā.ī meñ
agarche hazrat-e-asmā meñ nasabī ho ga.ī kasrat
vale tauhīd-e-zātī hai faqat merī duhā.ī meñ
ḳhayāl-e-ġhair kā dil meñ guzar honā nahīñ mumkin
samāyā is qadar haq hai mirī dil kī samā.ī meñ
vo 'saudā-gar' hai jis ne naqd-e-jāñ apnī luTā de kar
jamāl-e-pāk haq paayā hai shakl-e-mīrzā.ī maiñ
KHuda ko yaad karata hun sanam ki aashnai mein
sharab-e-shauq pita hun main apni parsai mein
main KHalwat hi mein apni mahwiyat mein aap rahta tha
do-'alam ho gaya zahir meri ek ru-numai mein
tera hi wajh-e-mutlaq hai wujuhat hai 'alam
tu hi yakta hai ai jaan-e-jahan sari KHudai mein
agarche hazrat-e-asma mein nasabi ho gai kasrat
wale tauhid-e-zati hai faqat meri duhai mein
KHayal-e-ghair ka dil mein guzar hona nahin mumkin
samaya is qadar haq hai meri dil ki samai mein
wo 'sauda-gar' hai jis ne naqd-e-jaan apni luTa de kar
jamal-e-pak haq paya hai shakl-e-mirzai main
- Book : Diwan-e-Saudagar (Pg. 85)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.