dikhta hai shab-o-roz tamasha mere dil mein
dikhta hai shab-o-roz tamasha mere dil mein
Shah Siddique Saudagar
MORE BYShah Siddique Saudagar
dikhtā hai shab-o-roz tamāsha mere dil meñ
kā'ba mere dil meñ hai kalīsā mere dil meñ
rahtā huuñ kisī but ke tasavvur meñ shab-o-roz
kyā khich gayā us shoḳh kā naqsha mire dil meñ
jo ḳhud se nikaltā huuñ to benām-o-nishāñ huuñ
phir luuT ke aatā hai sarāpā mire dil meñ
haq kī maiñ parastish karūñ yā pīr-parastī
ye donoñ baham rahte haiñ yakjā mire dil meñ
us nūr-e-samāvāt ke anvār se har dam
bahtā hai 'ajab nuur kā dariyā mire dil meñ
avval vahī ākHir vahī zāhir vahī bātin
un sab kā hai vo barzaḳh-e-kubrā mire dil meñ
jab ġhaib huuñ ḳhud to huzūrī ho ḳhudā se
banda huuñ magar rahtā hai allāh mire dil meñ
us kā ruḳh-e-zebā merī āñkhoñ meñ basā hai
vo husn-e-ḳhudā-dād samāyā mire dil meñ
'saudā-gar' 'āshiq yahī kahtā hai shab-o-roz
hāfiz mire siine meñ hai mirzā mire dil meñ
dikhta hai shab-o-roz tamasha mere dil mein
ka'ba mere dil mein hai kalisa mere dil mein
rahta hun kisi but ke tasawwur mein shab-o-roz
kya khich gaya us shoKH ka naqsha mere dil mein
jo KHud se nikalta hun to benam-o-nishan hun
phir luT ke aata hai sarapa mere dil mein
haq ki main parastish karun ya pir-parasti
ye donon baham rahte hain yakja mere dil mein
us nur-e-samawat ke anwar se har dam
bahta hai 'ajab nur ka dariya mere dil mein
awwal wahi aakHir wahi zahir wahi baatin
un sab ka hai wo barzaKH-e-kubra mere dil mein
jab ghaib hun KHud to huzuri ho KHuda se
banda hun magar rahta hai allah mere dil mein
us ka ruKH-e-zeba meri aankhon mein basa hai
wo husn-e-KHuda-dad samaya mere dil mein
'sauda-gar' 'ashiq yahi kahta hai shab-o-roz
hafiz mere sine mein hai mirza mere dil mein
- Book : Diwan-e-Saudagar (Pg. 93)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.