kashti hai sukun ki maujon mein itna hi sahaara kafi hai
kashti hai sukun ki maujon mein itna hi sahaara kafi hai
Shah Taqi Raaz Barelvi
MORE BYShah Taqi Raaz Barelvi
kashtī hai sukūñ kī maujoñ meñ itnā hī sahārā kaafī hai
mere to liye ai jān-e-jahāñ bas naam tumhārā kaafī hai
ab kaun bhañvar kī fikr kare ab kaun balā.e tūfāñ ko
jab Dūbnā hī maqsad Thahrā to phir ye kinārā kaafī hai
mai-ḳhāne meñ aa.e haiñ yūñhī saaqī se ġharaz hai koī nahīñ
mastī ke liye mastī kī qasam ye zauq hamārā kaafī hai
ai sāhib-e-dil ai ahl-e-nazar āzār kī bāteñ bhī kah duuñ
jo 'rāz' ke hai parde meñ nihāñ us kā hī ishārā kaafī hai
kashti hai sukun ki maujon mein itna hi sahaara kafi hai
mere to liye ai jaan-e-jahan bas nam tumhaara kafi hai
ab kaun bhanwar ki fikr kare ab kaun balae tufan ko
jab Dubna hi maqsad Thahra to phir ye kinara kafi hai
mai-KHane mein aae hain yunhi saqi se gharaz hai koi nahin
masti ke liye masti ki qasam ye zauq hamara kafi hai
ai sahib-e-dil ai ahl-e-nazar aazar ki baaten bhi kah dun
jo 'raaz' ke hai parde mein nihan us ka hi ishaara kafi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.