more piya ke lambe lambe kes
more piyā ke lambe lambe kes
nain rasīle mantar jagā.eñ
Dore gulābī man lalchā.eñ
abrū kaTīle dil barmā.eñ
kes ghanere dukh pahuñchā.eñ
more piyā ke lambe lambe kes
gorā badanvā sab ko bhaa.e
chandr sā mukhḌā jot jagā.e
nain kaTārī bhuk bhuk jaa.e
kaarī badriyā chhā chhā jaa.e
more piyā ke lambe lambe kes
chaal hai pī kī sab se nirālī
pī kī najariyā hai matvālī
pī kī sūratiyā bholī bhālī
aañkh hai pī kī madh kī pyālī
more piyā ke lambe lambe kes
‘rāz’ piyā haiñ more bhārī
un kī lagan hai mohe kaarī
un par jā.ūñ maiñ balihārī
un kī sūratiyā pyārī pyārī
more piyā ke lambe lambe kes
more piya ke lambe lambe kes
nain rasile mantar jagaen
Dore gulabi man lalchaen
abru kaTile dil barmaen
kes ghanere dukh pahunchaen
more piya ke lambe lambe kes
gora badanwa sab ko bhae
chandr sa mukhDa jot jagae
nain kaTari bhuk bhuk jae
kari badriya chha chha jae
more piya ke lambe lambe kes
chaal hai pi ki sab se nirali
pi ki najariya hai matwali
pi ki suratiya bholi bhaali
aankh hai pi ki madh ki pyali
more piya ke lambe lambe kes
‘raaz’ piya hain more bhaari
un ki lagan hai mohe kari
un par jaun main balihaari
un ki suratiya pyari pyari
more piya ke lambe lambe kes
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.