jine ki aarzu hai to mastana ban ke ji
jiine kī aarzū hai to mastāna ban ke jī
yā'nī ġhulām-e-murshid-e-mai-kHāna ban ke jī
haañ haañ usī ko kahte haiñ me'arāj-e-zindagī
ḳhud sham' kah rahī hai ki parvāna ban ke jī
ik jā na kar qayām ye kab hai qayām-gāh
is daur meñ tū sāġhar-o-paimāna ban ke jī
haañ haañ yagāngat meñ koī lutf hī nahīñ
begānagī kā zauq hai begāna ban ke jī
ai 'rāz' shakl-e-'rāz' ko lillāh chhoḌ de
sab ke laboñ pe 'aam ho afsāna ban ke jī
jine ki aarzu hai to mastana ban ke ji
ya'ni ghulam-e-murshid-e-mai-kHana ban ke ji
han han usi ko kahte hain me'araj-e-zindagi
KHud sham' kah rahi hai ki parwana ban ke ji
ek ja na kar qayam ye kab hai qayam-gah
is daur mein tu saghar-o-paimana ban ke ji
han han yagangat mein koi lutf hi nahin
beganagi ka zauq hai begana ban ke ji
ai 'raaz' shakl-e-'raaz' ko lillah chhoD de
sab ke labon pe 'am ho afsana ban ke ji
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.