parda-e-shauq hai yahi surat-e-raaz hai yahi
parda-e-shauq hai yahi surat-e-raaz hai yahi
Shah Taqi Raaz Barelvi
MORE BYShah Taqi Raaz Barelvi
parda-e-shauq hai yahī sūrat-e-rāz hai yahī
tum ho nazar ke sāmne merī namāz hai yahī
terī 'atā kī ḳhūbiyāñ merī talab meñ bhī nahīñ
bandagī ḳhud pukār uThī banda-navāz hai yahī
jalva-o-jalva-gar yahī shāhid-e-har nazar yahī
jalva-numā yahī to hai jalva-tarāz hai yahī
vasl meñ bhī tapāñ huuñ maiñ jalvoñ meñ gum huā huuñ maiñ
ġham meñ bhī hañs rahā huuñ maiñ ’ain-e-gudāz hai yahī
ahl-e-jahāñ ko kyā ḳhabar kaun hai mujh meñ jalva-gar
maiñ huuñ kahāñ tumhīñ to ho asal meñ raaz hai yahī
parda-e-shauq hai yahi surat-e-raaz hai yahi
tum ho nazar ke samne meri namaz hai yahi
teri 'ata ki KHubiyan meri talab mein bhi nahin
bandagi KHud pukar uThi banda-nawaz hai yahi
jalwa-o-jalwa-gar yahi shahid-e-har nazar yahi
jalwa-numa yahi to hai jalwa-taraaz hai yahi
wasl mein bhi tapan hun main jalwon mein gum hua hun main
gham mein bhi hans raha hun main ’ain-e-gudaz hai yahi
ahl-e-jahan ko kya KHabar kaun hai mujh mein jalwa-gar
main hun kahan tumhin to ho asal mein raaz hai yahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.