jahan ke raaz-dan tum ho jahan ka raaz-dan main hun
jahan ke raaz-dan tum ho jahan ka raaz-dan main hun
Shah Taqi Raaz Barelvi
MORE BYShah Taqi Raaz Barelvi
jahāñ ke rāz-dāñ tum ho jahāñ kā rāz-dāñ maiñ huuñ
jahāñ vo hai jahāñ tum ho jahāñ vo hai jahāñ maiñ huuñ
qayāmat kar rahī hai ye tirī ā.īna-sāmānī
abhī tak mahv-e-hairat huuñ abhī tak be-zabāñ maiñ huuñ
kisī 'ālam meñ bhī merā alag honā nahīñ mumkin
jo 'ain-e-dāstāñ tum ho to sharh-e-dāstāñ maiñ huuñ
pata kab thā mujhe us kā ke maiñ bhī riñd-o-sāqī huuñ
ḳhabar us kī na thī mujh ko sharāb-e-arġhavāñ maiñ huuñ
abhī tak raaz gar tum ko samajhte haiñ jahāñ vaale
kahīñ tum ye na kah denā ki rāz-e-do-jahāñ maiñ hauñ
jahan ke raaz-dan tum ho jahan ka raaz-dan main hun
jahan wo hai jahan tum ho jahan wo hai jahan main hun
qayamat kar rahi hai ye teri aaina-samani
abhi tak mahw-e-hairat hun abhi tak be-zaban main hun
kisi 'alam mein bhi mera alag hona nahin mumkin
jo 'ain-e-dastan tum ho to sharh-e-dastan main hun
pata kab tha mujhe us ka ke main bhi rind-o-saqi hun
KHabar us ki na thi mujh ko sharab-e-arghawan main hun
abhi tak raaz gar tum ko samajhte hain jahan wale
kahin tum ye na kah dena ki raaz-e-do-jahan main haun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.