meri aankhon ka aaKHir dur ye aazar kaise ho
meri aankhon ka aaKHir dur ye aazar kaise ho
Shah Taqi Raaz Barelvi
MORE BYShah Taqi Raaz Barelvi
merī āñkhoñ kā āḳhir duur ye āzār kaise ho
tujhe kis tarah se dekhūñ tirā dīdār kaise ho
mujhe de kar ġham-e-furqat ḳhabar merī nahīñ lete
mujhe itnā to batlā do mire sarkār kaise ho
davā jab tum nahīñ dete shifā jab tum nahīñ dete
to āḳhir phir sukūn-e-ḳhātir-e-bīmār kaise ho
mire saaqī ye batlā de tire mai-ḳhāne ke sadqe
nazar jis ne milā lī ho vo phir hushiyār kaise ho
fuġhān-e-rāz ko ai raaz gar tum kyuuñ nahīñ sunte
ki vo kab se fuġhāñ karatā hai tum bedār kaise ho
meri aankhon ka aaKHir dur ye aazar kaise ho
tujhe kis tarah se dekhun tera didar kaise ho
mujhe de kar gham-e-furqat KHabar meri nahin lete
mujhe itna to batla do mere sarkar kaise ho
dawa jab tum nahin dete shifa jab tum nahin dete
to aaKHir phir sukun-e-KHatir-e-bimar kaise ho
mere saqi ye batla de tere mai-KHane ke sadqe
nazar jis ne mila li ho wo phir hushiyar kaise ho
fughan-e-raaz ko ai raaz gar tum kyun nahin sunte
ki wo kab se fughan karata hai tum bedar kaise ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.