mujhko kafi hai ye sang-e-dar-e-jaanana mera
mujhko kafi hai ye sang-e-dar-e-jaanana mera
Shah Taqi Raaz Barelvi
MORE BYShah Taqi Raaz Barelvi
mujh ko kaafī hai ye sañg-e-dar-e-jānāna mirā
yahī kā'ba hai mirā aur yahī but-ḳhāna mirā
maiñ ye samjhūñ ki milī hai mujhe me'arāj-e-hayāt
gar vo ik baar bhī kah deñ ye hai dīvāna mirā
aaj kuchh ashk se aa kar sar-e-mizhgāñ Thahre
unhīñ ashkoñ meñ nazar aatā hai afsāna mirā
vahī mastī hai mirī aur vahī mad-hoshī hai
vahī saaqī hai mirā aur vahī mai-ḳhāna mirā
'rāz' us raaz ko kyā samjheñge duniyā vaale
merī shāhī hai yahī hāl-e-faqīrāna mirā
mujh ko kafi hai ye sang-e-dar-e-jaanana mera
yahi ka'ba hai mera aur yahi but-KHana mera
main ye samjhun ki mili hai mujhe me'araj-e-hayat
gar wo ek bar bhi kah den ye hai diwana mera
aaj kuchh ashk se aa kar sar-e-mizhgan Thahre
unhin ashkon mein nazar aata hai afsana mera
wahi masti hai meri aur wahi mad-hoshi hai
wahi saqi hai mera aur wahi mai-KHana mera
'raaz' us raaz ko kya samjhenge duniya wale
meri shahi hai yahi haal-e-faqirana mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.