main apne saqi ka banda hun aur kya jaanun
main apne saqi ka banda hun aur kya jaanun
Shah Taqi Raaz Barelvi
MORE BYShah Taqi Raaz Barelvi
maiñ apne saaqī kā banda huuñ aur kyā jānūñ
usī ke jaam kā maarā huuñ aur kyā jānūñ
vahī nazar ki jo ā.īna hai do-'ālam kā
usī nazar kā ishāra huuñ aur kyā jānūñ
kabhī safīna ba-sāhil kabhī safīna ba-bahr
tire karam kā tamāshā huuñ aur kyā jānūñ
mujhe bas us ke sivā aur kuchh nahīñ mā'lūm
ye jāntā huuñ tumhārā huuñ aur kyā jānūñ
maiñ ḳhud hī bazm meñ baiThā huā huuñ shor ba-lab
meñ ḳhud hī anjuman-ārā huuñ aur kyā jānūñ
hai ḳhūb-tar mirī begānagī kā 'ālam bhī
ki zauq-o-shauq sarāpā huuñ aur kyā jānūñ
mujhe vo dekh sakegā jo be-nazar aa.e
maiñ 'rāz' raaz kā parda huuñ aur kyā jānūñ
main apne saqi ka banda hun aur kya jaanun
usi ke jam ka mara hun aur kya jaanun
wahi nazar ki jo aaina hai do-'alam ka
usi nazar ka ishaara hun aur kya jaanun
kabhi safina ba-sahil kabhi safina ba-bahr
tere karam ka tamasha hun aur kya jaanun
mujhe bas us ke siwa aur kuchh nahin ma'lum
ye jaanta hun tumhaara hun aur kya jaanun
main KHud hi bazm mein baiTha hua hun shor ba-lab
mein KHud hi anjuman-ara hun aur kya jaanun
hai KHub-tar meri beganagi ka 'alam bhi
ki zauq-o-shauq sarapa hun aur kya jaanun
mujhe wo dekh sakega jo be-nazar aae
main 'raaz' raaz ka parda hun aur kya jaanun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.