teri nigah ne har shai ka intiKHab kya
tirī nigāh ne har shai kā intiḳhāb kyā
mujhe to zarra kyā is ko āftāb kyā
jise na hosh na mastī na āgahī na surūr
mujhe aise riñd ko saaqī ne bāryāb kiyā
tire savāl ne tharrā diyā zamāne ko
mire javāb ne duniyā ko lā-javāb kiyā
use ḳhabar hī nahīñ kitnī baar uTThī hai
merī nigāh-e-mohabbat se kyuuñ hisāb kiyā
ye 'rāz'-gar kī karāmat nahīñ to kyā hai raaz
ġhulām-e-silsilā-e-nām-e-bū-turāb kiyā
teri nigah ne har shai ka intiKHab kya
mujhe to zarra kya is ko aaftab kya
jise na hosh na masti na aagahi na surur
mujhe aise rind ko saqi ne baryab kiya
tere sawal ne tharra diya zamane ko
mere jawab ne duniya ko la-jawab kiya
use KHabar hi nahin kitni bar uTThi hai
meri nigah-e-mohabbat se kyun hisab kiya
ye 'raaz'-gar ki karamat nahin to kya hai raaz
ghulam-e-silsila-e-nam-e-bu-turab kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.