Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

nazar aai hai jab se qatil ki surat

Shah Turab Ali Qalandar

nazar aai hai jab se qatil ki surat

Shah Turab Ali Qalandar

nazar aa.ī hai jab se qātil sūrat

taḌaptā hai dil murġh-e-bismil sūrat

tire dekhne kare hai vo armāñ

jo dekhe hai aa tere ghā.il sūrat

kise taab hai jo muqābil ho dekhe

qiyāmat hai is sham.a-e-mahfil sūrat

kabhī ro uThe hai kabhī hañs paḌe hai

ajab in dinoñ hai mire dil sūrat

na paañv meñ tāqat na dil meñ irāda

'turāb' ab kahāñ qat-e-manzil sūrat

nazar aai hai jab se qatil ki surat

taDapta hai dil murgh-e-bismil ki surat

tere dekhne ki kare hai wo arman

jo dekhe hai aa tere ghail ki surat

kise tab hai jo muqabil ho dekhe

qiyamat hai is shama-e-mahfil ki surat

kabhi ro uThe hai kabhi hans paDe hai

ajab in dinon hai mere dil ki surat

na panw mein taqat na dil mein irada

'turab' ab kahan qat-e-manzil ki surat

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now