Sufinama

paDh ke KHat yar ka kal maine banaya tawiz

Shah Turab Ali Qalandar

paDh ke KHat yar ka kal maine banaya tawiz

Shah Turab Ali Qalandar

MORE BYShah Turab Ali Qalandar

    paḌh ke ḳhat yaar kal maiñ ne banāyā ta.avīz

    is se behtar koī al-hubb na paayā ta.avīz

    garm-joshī se kisī din na milā mujh se vo

    aag meñ jis ke liye maiñ ne jalāyā ta.avīz

    shāyad us but dil-e-sañg kahīñ paanī ho

    is liye bahr meñ likh likh ke bahāyā ta.avīz

    ik amal bhī na chalā us pe mirā kyā kahiye

    garche sau tarh mohabbat likhāyā ta.avīz

    talkHī-e-koh-kunī se jo muvāshīrīñ ne

    us turbat pe bhī mar mar lagāyā ta.avīz

    chashm-e-baddūr nazar merī to hai us pe lagī

    taar muqayyash se kyuuñ ne ḳhudāyā ta.avīz

    haath se dil to liye kitne zabardastoñ ke

    band-o-bast apne ne jo dikhāyā ta.avīz

    bad-gumāñ mujh se ziyāda vo huā kuchh na banā

    paas mere kahīñ us ko nazar aayā ta.avīz

    le gayā toḌ mere baazū se jhaT-paT us ko

    phir dikhāyā na mujhe aisā churāyā ta.avīz

    na chalā merā kahā us se maiñ kahtā rahā

    jaan merī koī letā hai parāyā ta.avīz

    yaar merā na kabhī mujh se ḳhafā hove 'turāb'

    mujh ko batlā de koī aisī duā ta.avīz

    paDh ke KHat yar ka kal main ne banaya tawiz

    is se behtar koi al-hubb ka na paya tawiz

    garm-joshi se kisi din na mila mujh se wo

    aag mein jis ke liye main ne jalaya tawiz

    shayad us but ka dil-e-sang kahin pani ho

    is liye bahr mein likh likh ke bahaya tawiz

    ek amal bhi na chala us pe mera kya kahiye

    garche sau tarh mohabbat ka likhaya tawiz

    talkHi-e-koh-kuni se jo muwashirin ne

    us ki turbat pe bhi mar mar ka lagaya tawiz

    chashm-e-baddur nazar meri to hai us pe lagi

    tar muqayyash se kyun tu ne KHudaya tawiz

    hath se dil to liye kitne zabardaston ke

    band-o-bast apne ka tu ne jo dikhaya tawiz

    bad-guman mujh se ziyaada wo hua kuchh na bana

    pas mere kahin us ko nazar aaya tawiz

    le gaya toD mere bazu se jhaT-paT us ko

    phir dikhaya na mujhe aisa churaya tawiz

    na chala mera kaha us se main kahta hi raha

    jaan meri koi leta hai paraya tawiz

    yar merā na kabhi mujh se KHafa howe 'turab'

    mujh ko batla de koi aisi dua ya tawiz

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now