Sufinama

main pir-e-ishq hun majnun murid hai mera

Shah Turab Ali Qalandar

main pir-e-ishq hun majnun murid hai mera

Shah Turab Ali Qalandar

MORE BYShah Turab Ali Qalandar

    maiñ pīr-e-ishq huuñ majnūñ murīd hai merā

    vo āshiqī meñ ḳhalīfa rashīd hai merā

    farefta huuñ maiñ jis par vo hai fidā mujh par

    ye husn-e-tāle'-o-bakHt-e-sa.īd hai merā

    tujhe ho ii.d mubārak mujhe galle se lagā

    na kar hijāb ye in.ām-e-ī.d hai merā

    kahā ayaaz ne ma.ashūq ban ke maulā se

    miyāñ banda-e-be-zar-kHarīd hai merā

    sūrat apnī chhupā kar mujhe sunātā hai

    nazar ba-ḳhair tasavvur mufīd hai merā

    karam se tere to nazdīk hai kisī din aa

    na soch ghar se tire ghar ba.iid hai merā

    vo kaan dhar ke mirā mājrā sune to kahūñ

    na.ī kahānī hai qissa jadīd hai merā

    'turāb' kis se muḳhātab ho kal vo kahtā thā

    ye teġh-e-ishq maarā shahīd hai merā

    main pir-e-ishq hun majnun murid hai mera

    wo aashiqi mein KHalifa rashid hai mera

    farefta hun main jis par wo hai fida mujh par

    ye husn-e-tale'-o-bakHt-e-said hai mera

    tujhe ho id mubarak mujhe galle se laga

    na kar hijab ye inam-e-id hai merā

    kaha ayaz ne mashuq ban ke maula se

    miyan tu banda-e-be-zar-kHarid hai mera

    tu surat apni chhupa kar mujhe sunata hai

    nazar ba-KHair tasawwur mufid hai mera

    karam se tere to nazdik hai kisi din aa

    na soch ghar se tere ghar baid hai mera

    wo kan dhar ke mera majra sune to kahun

    nai kahani hai qissa jadid hai mera

    'turab' kis se muKHatab ho kal wo kahta tha

    ye tegh-e-ishq ka mara shahid hai mera

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now