Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

aadam ko malak kahte the kya KHak banega

Shah Turab Ali Qalandar

aadam ko malak kahte the kya KHak banega

Shah Turab Ali Qalandar

aadam ko malak kahte the kyā ḳhaak banegā

samjhe na ki sar-tā-qadam idrāk banegā

thī ḳhaak samajh un kisī ne ye na samjhā

aadam dam-e-haq se nafs-e-pāk banegā

ho.egā koī dam meñ ye masjūd-e-malā.ik

hai ḳhāk-nashīñ hākim-e-aflāk banegā

aulād se ho.egā usī ke vo payambar

jo sall-e-'alā sāhib-e-laulāk banegā

rah shaad 'turāb' apnī haqīqat ko samajh kar

sūrat ke liye kaahe ko ġham-nāk banegā

aadam ko malak kahte the kya KHak banega

samjhe na ki sar-ta-qadam idrak banega

thi KHak samajh un ki kisi ne ye na samjha

aadam dam-e-haq se nafs-e-pak banega

hoega koi dam mein ye masjud-e-malaik

hai KHak-nashin hakim-e-aflak banega

aulad se hoega usi ke wo payambar

jo sall-e-'ala sahib-e-laulak banega

rah shad 'turab' apni haqiqat ko samajh kar

surat ke liye kahe ko gham-nak banega

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now