iltija kis se karun tere siwa
Interesting Fact
مناجات۔
iltijā kis se karūñ tere sivā
yā ilāhī kar mirī hājat-ravā
dard merā tujh se kuchh pinhāñ nahīñ
hai tirā lutf-o-karam us kī davā
fazl se apne mujhe kar de ġhanī
tū ġhanī hai maiñ faqīr-e-be-navā
mujh ko is 'ālam se kar de be-niyāz
duur ho dil se mire hirs-o-havā
ātish-e-dozaḳh se aiman rakh mujhe
ho mirī qismat meñ jannat kī huā
'umr baaqī yaad meñ terī kaTe
sohbat-e-bad se rakhūñ nit inzivā
kalimat-ul-haq ḳhalq se kahtā rahūñ
go kisī par talḳh ho juuñ ailvā
sar pe sab us ke raheñ pīrān-e-pīr
sidq se jis ne qadam merā chhuā
dil meñ yuuñ rañg-e-fanā-o-faqr de
tan pe hai jaise libās-e-gerua
tujh se hai ummīd baḳhshish kī mujhe
hai tirā mahbūb merā peshvā
ai ḳhudā tujh ko mohammad kī qasam
baḳhsh de mere fe'l-e-zasht-o-nā-ravā
ḳhātima bil-ḳhair mujh 'aasī kā ho
rahm ke laa.eq huuñ ab buDDhā huā
gor mujh ko dekh ke kahne lage
hai bahishtī ai farishto ye muā
hashr meñ jhaT-paT vahāñ pahuñche 'turāb'
ho jahāñ qaa.em mohammad kā lavā
iltija kis se karun tere siwa
ya ilahi kar meri hajat-rawa
dard mera tujh se kuchh pinhan nahin
hai tera lutf-o-karam us ki dawa
fazl se apne mujhe kar de ghani
tu ghani hai main faqir-e-be-nawa
mujh ko is 'alam se kar de be-niyaz
dur ho dil se mere hirs-o-hawa
aatish-e-dozaKH se aiman rakh mujhe
ho meri qismat mein jannat ki hua
'umr baqi yaad mein teri kaTe
sohbat-e-bad se rakhun nit inziwa
kalimat-ul-haq KHalq se kahta rahun
go kisi par talKH ho jun ailwa
sar pe sab us ke rahen piran-e-pir
sidq se jis ne qadam mera chhua
dil mein yun rang-e-fana-o-faqr de
tan pe hai jaise libas-e-gerua
tujh se hai ummid baKHshish ki mujhe
hai tera mahbub mera peshwa
ai KHuda tujh ko mohammad ki qasam
baKHsh de mere fe'l-e-zasht-o-na-rawa
KHatima bil-KHair mujh 'asi ka ho
rahm ke laeq hun ab buDDha hua
gor mujh ko dekh ke kahne lage
hai bahishti ai farishto ye mua
hashr mein jhaT-paT wahan pahunche 'turab'
ho jahan qaem mohammad ka lawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.