KHuda se ya rasul-allah bandon ki sifarish kar
KHuda se ya rasul-allah bandon ki sifarish kar
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
Interesting Fact
یہ شاہ تراب علی قلندر کی ایک منظوم دعا کے اشعار ہیں جو پانی نہ برسنے کی صورت میں انہوں نے کہے تھے، پوری مناجات گرچہ پانی برسنے کے لیے ہے مگر ایسا کہا جاتا ہے کہ مذکور اشعار اگر وردِ زبان کیے جائیں تو بہت فائدہ ہوتا ہے، مناجات بڑی مجرب اور صدہا بار کی آزمودہ و تجربہ شدہ ہے۔ ایک بار کا واقعہ ہے کہ جب ایامِ وبا میں شاہ تراب علی قلندر کہیں تشریف لے گئے تو وہاں کے لوگوں سے فرمایا کہ ہم اس بستی سے نکلیں تو ہمارے پیچھے کہتے ہوئے جانا کہ الیا بلیا جات ہے، جب تک یہ نہیں کہو گے بلا دور نہیں ہوگی، چنانچہ پہلے تو لوگوں نے بے ادبی کا خیال کر کے جھجکے مگر آپ کے سختی فرمانے پر یہی دہرنا شروع کیا جس سے بہت جلد وبا ختم ہو گئی، یہ الفاظ آج بھی کاکوری کے محلے کے ہندو لوگ دیوالی میں الاو جلا کر وہاں سے کچھ دور گھروں گھروں گھومتے ہیں اور آگ کی مشعل جلا کر گاتے جاتے ہیں۔
ḳhudā se yā rasūl-allāh bandoñ kī sifārish kar
ki barse sab kaheñ bārān-e-rahmat kHuub sā jhar-jhar
gayā sāvan chalā bhādoñ na barsā ab talak paanī
huī barsāt āḳhir kis tarh 'ālam na ho muztar
vabā kā shor-o-shar aisā girānī kā ḳhatar aisā
qiyāmat kyā qarīb aa.ī jo 'ālam ho chalā abtar
koī bhūkā koī pyāsā koī ranjūr haize kā
yahī hai har taraf charchā yahī hai tazkira ghar-ghar
tujhe to rahamtul-lil-'ālamīñ haq ne banāyā hai
tū jag par rahm kar bahr-e-ḳhudā ai mere paiġhambar
shafā'at 'āsiyoñ kī vaañ tire hāthoñ muqarrar hai
himāyat yaañ bhī tujh ko chāhiye 'aasī kī ai sarvar
maiñ terā naam letā huuñ du'ā meñ avval-o-āḳhir
vasīla jis kā aisā ho du'ā radd us kī ho kyuuñ kar
ḳhudā-nā-kHvāsta gar ḳhushk-sālī yūñhī rahtī hai
to ho jā.egī duniyā koī din meñ 'arsa-e-mahshar
tū kah de abr-e-rahmat se ke paanī jald barsā de
ke ḳhāliq ne rakhā sar par tire laulāk kā afsar
jo bādal kHuub sā garje-o-pānī zor se barse
vabā bijlī se maarī jaa.e mahñgī par gireñ patthar
'turāb' āzād ho ġham se miTe ye rañj 'ālam se
ghamanD us kā baḌhe maulā terī banda-navāzī par
KHuda se ya rasul-allah bandon ki sifarish kar
ki barse sab kahen baran-e-rahmat kHub sa jhar-jhar
gaya sawan chala bhadon na barsa ab talak pani
hui barsat aaKHir kis tarh 'alam na ho muztar
waba ka shor-o-shar aisa girani ka KHatar aisa
qiyamat kya qarib aai jo 'alam ho chala abtar
koi bhuka koi pyasa koi ranjur haize ka
yahi hai har taraf charcha yahi hai tazkira ghar-ghar
tujhe to rahamtul-lil-'alamin haq ne banaya hai
tu jag par rahm kar bahr-e-KHuda ai mere paighambar
shafa'at 'asiyon ki wan tere hathon muqarrar hai
himayat yan bhi tujh ko chahiye 'asi ki ai sarwar
main tera nam leta hun du'a mein awwal-o-aKHir
wasila jis ka aisa ho du'a radd us ki ho kyun kar
KHuda-na-kHwasta gar KHushk-sali yunhi rahti hai
to ho jaegi duniya koi din mein 'arsa-e-mahshar
tu kah de abr-e-rahmat se ke pani jald barsa de
ke KHaliq ne rakha sar par tere laulak ka afsar
jo baadal kHub sa garje-o-pani zor se barse
waba bijli se mari jae mahngi par giren patthar
'turab' aazad ho gham se miTe ye ranj 'alam se
ghamanD us ka baDhe maula teri banda-nawazi par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.