roti hai shabnam ki nairang-e-jahan kuchh bhi nahin
rotī hai shabnam ki nairañg-e-jahāñ kuchh bhī nahīñ
hañs rahe haiñ gul ki ran.g-e-bostāñ kuchh bhī nahīñ
jin ke mahloñ meñ hazāroñ rañg ke fānūs the
jhaaḌ un kī qabr par haiñ aur nishāñ kuchh bhī nahīñ
jin kī naubat kī sadā se gūñjtā thā āsmāñ
chup paḌe haiñ qabr meñ vo hoñ vahāñ kuchh bhī nahīñ
taḳht vāloñ kā nishāñ dete haiñ tujhe de
is qadar hai naam baaqī aur nishāñ kuchh bhī nahīñ
gor ke muñh kā nivāla ho gayā bahrām-gor
qabr kī baġhlī se chitt haiñ pahlvāñ kuchh bhī nahīñ
haiñ kahāñ daarā sikandar jam kahāñ 'vāris' 'alī
ik faqat hai naam baaqī aur nishāñ kuchh bhī nahīñ
roti hai shabnam ki nairang-e-jahan kuchh bhi nahin
hans rahe hain gul ki rang-e-bostan kuchh bhi nahin
jin ke mahlon mein hazaron rang ke fanus the
jhaD un ki qabr par hain aur nishan kuchh bhi nahin
jin ki naubat ki sada se gunjta tha aasman
chup paDe hain qabr mein wo hon wahan kuchh bhi nahin
taKHt walon ka nishan dete hain tujhe de
is qadar hai nam baqi aur nishan kuchh bhi nahin
gor ke munh ka niwala ho gaya bahram-gor
qabr ki baghli se chitt hain pahlwan kuchh bhi nahin
hain kahan dara sikandar jam kahan 'waris' 'ali
ek faqat hai nam baqi aur nishan kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.