shaiKH-ji tashrif yun bahr-e-ziyarat le chale
shaiḳh-jī tashrīf yuuñ bahr-e-ziyārat le chale
lab pe tauba un butoñ kī dil meñ ulfat le chale
laa.e the mulk-e-adam se saath apne naqd-e-dil
ab yahāñ se us ke badle dāġh-e-furqat le chale
zo.af kaafī hai mujhe sahrā-navardī meñ junūñ
kaun apne sar se bār-e-tab-o-tāqat le chale
dīn-o-īmāñ nazr de ke mahfil-e-jānāñ se ham
dil ke dil hī meñ rahe armāñ ye hasrat le chale
qatl kuchh āshiq hue maqtal meñ us ke haath se
kuchh phire māyūs aur shauq-e-shahādat le chale
kuchh maza tanhā.ī meñ sahrā-navardī kā nahīñ
haañ chalūñ gar saath apne josh-e-vahshat le chale
niklā mai-ḳhāna se jab 'aughaT' to pūchhā 'shāh-jī'
ye baġhal meñ kyā dabā.e aap hazrat le chale
shaiKH-ji tashrif yun bahr-e-ziyarat le chale
lab pe tauba un buton ki dil mein ulfat le chale
lae the mulk-e-adam se sath apne naqd-e-dil
ab yahan se us ke badle dagh-e-furqat le chale
zoaf kafi hai mujhe sahra-nawardi mein junun
kaun apne sar se bar-e-tab-o-taqat le chale
din-o-iman nazr de ke mahfil-e-jaanan se hum
dil ke dil hi mein rahe arman ye hasrat le chale
qatl kuchh aashiq hue maqtal mein us ke hath se
kuchh phire mayus aur shauq-e-shahadat le chale
kuchh maza tanhai mein sahra-nawardi ka nahin
han chalun gar sath apne josh-e-wahshat le chale
nikla mai-KHana se jab 'aughaT' to puchha 'shah-ji'
ye baghal mein kya dabae aap hazrat le chale
- Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 26)
- Author : Aughat Shah Warsi
- Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.